Saturday, July 2, 2022

Backlinks क्या है? (Backlinks के बारे में पूरी जानकारी) - High quality backlinks कैसे बनाये?

  Apka Uttam jankari mein suvagat hai…ajj ham janege ki backlinks kya hote hai? woh itne important kyu hai? kya google unko priority deta hai ajj ke time mein? konse backlinks vauable hote hai konse nahi? Backlinks kitne types ki hote hai? ap apne banaye gye backlinks ko kaise check kar sakte hai? aur bhi bohut kuch...

Backlinks kya hote hai?
                                         

Backlinks-kya-hote-hai-?
backlinks kya hote hai?

Simple words mein backlinks ek type ke link hi hote hai jo ek website se kisi aur website par apko lejai. Backlinks ko ham “inbound links”, “incoming links” aur “one way links” bhi khete hai. Search engine like google backlinks ka istemal ranking signal ki tarah karte hai jab ap ek website ko dusri se link karte hai. backlinks se pata chalta hai ki apka content google ki nazro mein noteworthy hai. Ache quality backlinks lagana ek ache content aur niche ki barabar hi hai. High quality backlinks apki site ki ranking badate hai aur search engine ke results mein apki website upar ane ki chances bhi bad jate hai.

For example- Agar website A ne website B ka link apni website par diya then B is a backlink to A, kyuki ab us link pe click karke log website B pe ja sakte hai.

Backlinks itne important kyu hai?

Backlicks basically votes hai dusri websites se. Sare votes search engine ko batate hai ki apka content kam ka hai, valuable hai aur tarif ke layak hai. jitney jyada votes apke pas hoge utni hi upar apki site rank karegi google pe aur dusre search engine par bhi.  Backlinks ka use koi new chiz nahi hai, balki backlinks google ke original algorithm ki foundation hai jisko PageRank bhi khete hai.

Google ne ab tak apni algoritm mein bohut sare changes kiye hai par backlinks abhi bhi key point yahi bohut important raha hai. Aur google ne bhi confirm kiya hai ki backlinks top three important factor mein se ek hai jo apki site ko rank kara sakte hai.

 

Backlinks kitne type ki hote hai?

Backlinks two types ke hote hai- Do-follow links aur  No-follow backlinks

NO FOLLOW-   Yeh aise links hote hai jinhe serach engine ignore karte hai. Yeh links apki site dusre ki site pe koi bhi value pas nahi karte hai . Aur yeh aoki search ranking aur visibility ko bhi nahi badate hai. Jab bhi google kisi ki site inspect karta hai toh yeh links ko ignore karta hai kyuki site jisne link dala hai woh usko koi bhi reference nahi deti hai.

DO FOLLOW-  Yeh links woh hai jinko har koi chata hai. aur yeh bat jarur yad rehni chaiye ki links agar respected sites se a rahe hai toh hi yeh apke liye useful hai iska reason bohut simple hai agar koi badi site jaise Cambridge, Stanford, Wikipedia etc agar apki site ka linke as a do-follow link de toh yeh google ko batayega ki apko inspect kare kyuki apka content valuable hai. Agar apko koi suspicious site se backlink milta hai toh uska koi faida nahi hai kyuki who bad aur toxic link samje jaige, aur google ki terms and condition ko follow nahi kar paoge.

For backlinks apki quality matter karegi naki apke backlinks ki quantity.

High quality backlinks kaise banaye?

Backlinks-kyse-paye-?
Backlinks kaise paye?

Ache backlinks banana mein time aur efforts dono lagte hai par apke liye yeh bohut beneficial hota hai toh isko dyan se samje aur apply kare. Yaha kuch 3 simple tarike hai jinse ap ache high quality backlinks bana sakte hai.

1)     Social media profiles par apni profile par ap apni website ka link de sakte ho. Google par ap search karo ki konsi post high rank kar rahi hai phir usko improve aur expand karo.


Also Read:-

Google ka full form kya hai | Google full form in hindi

Encryption meaning in hindi | Meaning of encryption in hindi

Email address kya hota hai? | Email id kya hota hai?

Facebook se paise kaise kamaye? (हिंदी में )


2) Aap normal pots se hat kar “how to”, “why to” and list post banana suri kijiye aur embedded videos bhi in posts par backlinks jaldi milte hai.Ultimately ap badi post likha karo isse, jismein 1000 se 2000 words tak ho kyuki phir ap jyada topic cover kar pauge jo ki apke liye acha hai.

3) Aap dusro ki liye guest post likhna suru karo aur unpe apki site ka link diya karo.Ap un logo se contact karne ki kosi kara karo jo apki post mein interested hai aur unse bat karke unko bolo ki apki site ko woh reference de, jo dono ke liye acha hoga.Ap dusre logo ki site ko lnk kara karo aur unse bat bhi kara karo phir woh bhi apko ink back karege.

Aap apne backlinks ko kaise check kar sakte hai?

Ajj ke time bohut se aise sites hai jaha ap apke backlinks check kar sakte hai jaise google search console, SEMRushAfref etc.

Apne backlinks ka dyan rakhna bohut important bat hai. Google webmaster guidelines apse yeh chati hai ki sari suspicious site apki site se link hata de jisse apke links bad aur toxic backlinks na baan paye warna apka blog de-index aur penalty bhi mil sakti hai aur iska dyan rakhe.

Toh apke man mein uthe yeh question ka answer dena hamare liye first priority hai…

  •       hame apne backlinks kaha find kar sakte hai ?
  •       hamare backlinks toxic hai iska pata kaise laga sakte hai ?
  •       aur toxic website owners se kaise contact kar sakte hai?

Inka answer ache tools ko use karke asani se de sakte hai……

Ap google search console bhi use kar sakte hai yeh easy hai aur apke backlinks bhi check kar sakte hai but yeh bohut time le lega isse acha hai ki ap aur tools use kariye jo fast hai aur easy bhi like SEMRush .SEMRush ke pas do area hai jo specifically backlinks se deal karte hai. Un dono section ke naam hai backlinks analytics section jo apko ake competitors ke bare mein janne mein madad karega aur dusra backlink audit area.

Backlink audit area sare backlinks ko check karta hai ajr toxic backlinks ko alag karta hai. is tarike se ap apne backlinks mein se toxic backlinks hata sakte hai jisse phele google apki site ko penalize kare. Aur SEMRush ka sabse bada faida yeh hai ki aur apko user interface se hi toxic site ke owners ko contact karne ka tarika bata hai jisse ap tabhi ke tabhi ap unhe contact kar sakte hai. Apne backlinks ko trace karne se ap apne backlinks ke bare mein bohut kuch jan payege aur apni site ki value ko bhi ache se samj payege.

Backlinks SEO mein kaise help kare hai ?

Sabse phele apko yeh make sure karna hoga ki apke links natural lag rahe hai ya nahi. Ap kabhi bhi kisi site pe jakar unko mat bolna ki who apne footer par apke links lagaye yeh unnatural tarike hote hai to create backlinks isse acha h ki app guest post likna suru kariye who bhi tabhi work karega jab ao unke liye quality post like apna link de rahe h.

kabhi bhi ap link ke liye unko paise na de woh as a sponsor samja jaiga aur phir FCC regulation ke chalte unhone sponsored likne padega jisse FCC ki regulation follow ho. Jyada tar site owner website ki links nofollow kar dete hai jab ap unko as a sponsored link dete hai. Par phir bhi ap thori link value pa sakte hai.

Kisi time pe, directories jaise DMOZ bohut hi achi jagah thi jaha ap listing laga sakte hai aur backlinks se sakte the. However, ab yeh badi directories ab relevant nahi hai . Par agar ap industry-relevant directories ya niche community online, tab inke sath relation banana bohut hi jyada acha hpga aur ap inse bohut ache backlinks bhi le sakte hai.

Konse attributes apke backlinks ko ache high quality banate hai?

 

Jaise ab ap yeh bat smaj hi gaye h ki sare backlinks ache nahi hoti ek high quality backlinks 100 low quality links aur unworthy content se jyada acha hota hai aur jyada beneficial bhi.

                                    

What-makes-a-good-backlinks-?
What makes a good backlinks?

Yaha kuch aise attributes hai jo ek ache aur unique backlinks banana mein acha contribution karte hai.

1)     Relevance  Google relevant backlinks par jyada stress deta hai kyuki use visitor ke jyada chances hote hai ki woh unpar click kare.

2)     Authority – backlinks agar high authority wali sites se aye toh woh bohut jyada acha hota hai weak ones se.

3)     Traffic – agar koi high traffic wali site apka link lagaye toh bohut jyada acha hota hai kyuki waha se visitor jyada ate hai.

4)     Placement- Agr apke links upar mil jate hai toh bohut jyada acha hota hai kyuki log upar placed kare links ko jyada click karte hai. Apko yeh bhi dyan rakhna chaiye ki apke links stand out kare kyuki agar who normal text ki tarah dikhege toh unko koi bhi notice nahi karega apko yeh bat ache se samjni hogi.

5)     Anchor text- Anchor text un text ko khete hai jinhe ham backlinks bana sakte  hai. Google itself says that it influence ranking

Jyada backlinks pane ke liye major three ways hai, jo hai-

  1.        Create them
  2.          Earn them
  3.            Build them

Create them

Create them who backlinks hote hai jinhe ham khud apni site ke liye dusri site se add karte hai. Example – blog pe comment dena, social media pe apna link dalna, business directories pe submit karna.

Earning them

Yeh tab hote hai jab apki site ka content logo tak social media platforms, search engine like google, word of mouth etc ke jariye paucha hai . Simple words mein yeh ki yeh links organic backlinks hote hai yeh apke ache content ki vaje se inhone apke link ko add kara hai.

Building backlinks

Building backlinks unhe khete hai jab dusre site owners, editors, ya webmasters ke pas jakar ap unse apni site ko link karne ko khete hai.

Here are some building link tactics-

1)      Guest blogging- jaisa ki ab ap jan gaye hai ki dusre ki site pe jakar content likna aur apna link waha dena.

2)     Broken link building- dusre ki site pe jakar dead link find karna phir unke owner ko bata kar apna link as a placement karwana.

3)      skyscraper technique – dusre ki site pe jakar unka content padho jinse unhone link kara hai phir un linked site se acha content banakar unko manana ki ap hamko link kare unke bajaye kyuki apka content mire relevant aur acha hai.

4)     Unlinked mentionApne brand ko dundna dusro ki site par phir unko bolna ki who apko link kare.

5)     Infograohics and other visual assets-  Agar ap hamse puche ki kya infographics abhi bhi ksam karta ha toh sayad hamara answer hoga NHI but ek effective link building mein yeh bohut kam ka hai. Agar ham dekhe ki konsa content sabse jyada links generate karta hai toh sabse upar infographics ata hai.

6)     Submit testimonials- Chahe company badi ho ya choti sabko customer testimonials agar apko unki koi service achi lagti hai toh ap unko ek testimonial zarur dena kyuki bohut bat yeh sabit karne ke liye ki ap ek real person hai who apki site ko link bhi kar dete hai.

7)     Blogger review- Agar ap ke pas koi achi service, physical product ya kuch aur bhi hai. Tab ap badi asani se usko bohut sare ache high quality backlinks mein convert kar sakte hai. Simple words mein apni service bloggers ko dena aur phir uko apna link dalne ke liye khena.


Also Read:-

Filmywap.in bollywood movies kya hai? | Filmywap official.com

Google mera naam kya hai? | Mera naam kya hai batao?

Computer kya hai? | What is the computer in hindi?

Wifi ka full form in hindi || Wifi फुल फॉर्म


Par kaise?

Apne product bloggers ko free mein dena

                                    

Apne-products-blogger-ko-free-mein-dena
Apne products blogger ko free mein dena

1)     Aise bloggers ko dundo jo apki service mein interested ho jaise agar ap koi aisa product dete ho jo logo ko kuch sikaye toh bohut hi jyada acha hoga jaise Shirt banana etc toh google apki site ya link kari site par, "How to make a shirt?" pe rank kar sakta hai easily aur jisko yeh service free mein de raho ho woh bhi apko backlinks dega isse apka faida double hoga.

2)     Apka blog isse mix site Banegi jo how to, blogging , backlinks se bari hogi like ehow. Agar how to sites ko ham exclude kare phir bhi apke pas bohut sare ache bloggers hoge jo apke content aur product mein interested hoge.

8)     Link reclamation- link reclamation ka matlab hota hai jis website ne apki site ka naam mention kara hai par use link nahi kara toh ap unko mail karo ki who apki site ko link kare, issi ko link reclamation khete hai.

Kaise pata kare ki kisi site ne apko mention kara hai ki nahi?

Yeh pata karna bohut hi asan hai, iske liye ap do tools ka istemal kar sakte hai jaise BuzzSumo and Mention.com.

Jab ap iska intimal karoge toh ek head up ayega jaha apko pata chal jaiga ki konsi site ne apko mention kara hai. Hir apko yeh check karna hai ki kya jis site ne apko mention kara hai usne apki link kara ya nahi agar kar diya hai toh bohut acha but agar nahi kara hai toh ap usse site ke owner se bat karke apni site ko link karwa sakte hai. But yad rakhna ki apka message bohut friendly ho warna agar unko apka message rude laga toh woh apko mention kara hua text hata bhi sakte hai phir iska koi faida nahi hoga.

9)     Ap ek particular content format pe fix raha kariye-  jaise ki hamne phele bhi mention kiya hai ki infographics backlinks ke matter mein beneficial hote hai par yeh bohut chizo mein se ek hai. Kyuki hamne pata lagaya hai ki what posts aur why posts bhi bohut linking ke chances badati hai. Toh what and why posts to ignore na kiya kare kyuki who bhi bohut achi chiz hai apke liye.


Ham hope karte hai ki apne ajj hamari site se backlinks ke bare mein bohut kuch sikha hoga. Backlinks bohut hi important criteria hai apni site ko grow karwane ka, isse ap rank kar pauge aur jyada se jyada logo tak puch bhi pauge. Isliye backlinks ka use karna aur shi link ko no-follow aur do-follow banana aur apne link ko time-to-time check karna bohut hi important ho jata hai. Toh please inko seriously lekar follow kare.

Thanks for reading

Refferal:
https://uttam-jankari.blogspot.com/2021/07/Backlinks-kya-hai-kaise-banaye.html

No comments:

Post a Comment

Considering 270 Website To Grow your Rank

    SEO (Related Call Girl ) enables you to showcase your enterprise throughout Search Engine Optimization although have you ever recognize,...